Zindagi ka ek khel,
Jisme hai khushi, gum, pyar aur dosti ki mix bhel.
Jisme hai khushi, gum, pyar aur dosti ki mix bhel.
kabhi bohot kuch de jaati hai zindagi,
aur kabhi bohot kuch chheen bhi leti hai
zindagi,
Mausamo ki tarah rang badalti hai zindagi,
sache pyar ka ehsas dilati hai zindagi,
matlabi duniya ki sair bhi karati hai
zindagi,
sacha dost kon hai batlati hai zindagi,
pyari si janjhat hai zindagi,
dosti jaan se pyari bhi hoti hai, ye
sikhlati hai zindagi,
dosti maut ka dwar bhi khatkasakti hai, ye
samjhadeti hai zindagi,
ek pyaari si naav hai zindagi,
dard ko andekha krna sikhati hai zindagi,
pyar ko sametlena bhi sikhati hai zindagi,
kisi ke pyar ke saath dard ko jhelne ki
taaqat bhi deti hai zindagi,
aasman tak uddaan bharneka kaam karti hai
zindagi,
waqt pe aukaat dikhaneka kaam bhi kar leti
hai zindagi,
gum ke aansu dilati hai zindagi,
khushi ke aansu bhi dilati hai zindagi
har dinn kuch naya sikhlati hai zindagi,
kisiko khone ke baad sambhalne ki taaqat
bhi deti hai zindagi.
kya hai yeh zindagi??
samajna hai mushkil
par itna yaad rakho dosto..
Zindagi hai k khel
jismne hai KHUSHI, GUM, PYAR aur DOSTI ki mix bhel .
jismne hai KHUSHI, GUM, PYAR aur DOSTI ki mix bhel .
No comments:
Post a Comment